Apni baton mein mere naam ke hawale rakhna
Apni baton mein mere naam ke hawale rakhna | Urdu Ghazal
Kya Zamana Tha K Har Roz Mila Karte The
Kya Zamana Tha K Har Roz Mila Karte The
Theek hai main nahi pasand unhein | Mohammad Ahmad
Theek hai main nahi pasand unhein
Theek hai main nahi pasand unhein
Lekin is darja paayemaal pasand??
Sach na kahiye K sach hai sabr talab
Log hote hain ishte’aal pasand
Haan mujhe aaj bhi pasand hai woh
Is ko kahte hain lazawaal pasand
Hilm hai ahl e ilm ka shewaa
Jaah walon ko hai jalaal pasand
Wasl ko hijr, naagehaani maut
Hijr ko mausam e wesaal pasand
Fikr e duniya nahi mujhe Ahmad
Apni masti aur apni khaal pasand
(Mohammad Ahmad)
Tamheed | Zarb-e-Kaleem : 01
Tamheed
Na Dair Mein Na Haram Mein Khudi Ki Baidari
Ke Khawaran Mein Hai Qoumon Ki Rooh Taryaki
Agar Na Sehal Hon Tujh Par Zameen Ke Hangame
Buri Hai Masti-e-Andaisa Haye Aflaki
Teri Nijat Gham-e-Marg Se Nahin Mumkin
Ke Tu Khudi Ko Samajhta Hai Paikar-e-Khaki
Zamana Apne Hawadas Chupa Nahin Sakta
Tera Hijab Hai Qalb-o-Nazar Ki Na-Paki
Atta Huwa Khs-o-Khashak-e-Asia Mujh Ko
Ke Mere Shaole Mein Hai Sarkashi-o-Bebaki!
(2)
Tera Gunah Hai Iqbal! Majlis Arayi
Agarche Tu Hai Misal-e-Zamana Kam Pewand
Jo Ko Kinar Ke Khugar The, In Ghareebon Ko
Teri Nawa Ne Dia Zauq-e-Jazba Haye Buland
Tarap Rahe Hain Faza Haye Neelgoon Ke Liye
Woh Par Shakista Ke Sehan Sara Mein The
Khorsand
Teri Saza Hai Nawa-e-Sehar Se Mehroomi
Maqam-e-Shauq-o-Suroor-o-Nazar Se Mehroomi