Allama Iqbal Mother tongue Urdu poetry romantic, Iqbal
Allama Iqbal was multilingual, he hailed from a Kashmiri family and his mother tongue was the Kashmiri language, he became fluent in many languages during his childhood such as Persian and Arabic which helped a lot later in his life in disseminating thoughts to a wide audience
Mulaqatein urooj per thi to jawab e azan tak na diya Iqbal
Sanam jo rootha hai to aj moazin bane betha hain
Na kalma yaad ata hai na dil lagta ha namazon main Iqbal
Kafir bana diya hai logo ko do din ki mohabbat ne
Kitni ajeeb hai gunahon ki justoju Iqbal
Nemaz bhi jaldi parhte hain phir se gunah karne ke liya
Sanam jo rootha hai to aj moazin bane betha hain
Na kalma yaad ata hai na dil lagta ha namazon main Iqbal
Kafir bana diya hai logo ko do din ki mohabbat ne
Kitni ajeeb hai gunahon ki justoju Iqbal
Nemaz bhi jaldi parhte hain phir se gunah karne ke liya
 JUGNOO
Jungnoo ki roshni hai kashana e chaman mein
Ya shama jal rahi hai phoolon ki anjuman mein
Aya hai asman se urh kar koi sitara
Ya jaan gayi hai mehtaab ki kiran mein
Ya shab ki saltanat mein din ka safeer aya
Gharbat mein a ke chamka ghumnaam tha watan mein
Tukma koi gira hai mehtab ki qaba ka
Zarra hai ya numayan suraj ke pairhan main
Husn e qadeem ki ye poshida ek jhalak thi
Le ayi jis ko qudrat khalwat se anjuman
Chote se chand mein hai zulmat bhi roshi bhi
Nikla kabhi gehn se aya kabhi gehn mein
Parwana ek patanga jugnoo bhi ek patanga
Woh roshni ka talib ye roshni sarapa
Har cheez ko jahan mein qudrat ne dilbari di
Parwane ko tapish di jugnoo ko roshni di
Rangeen nawa banaya murghan e bezuban ko
Gul ko zuban de kar taleem e khamashi di
Nazara e shafaq ki khoobi zawal mein thi
Chamka ke iss pari ko thori si zindagi di
Rangeen kiva sehar ko banki dulhan ki soorat
Pehna ke laal jorha shabnam ki aur si di
Saya diya shajar ko parwaz di hawa ko
Pani ko di rawani moujon ko be khali di
ye imtiaz leken ek baat hai hamari
Jugnoo ka din wohi hai jo raat hai hamari
Husn e azal ki paida har cheez mein jhalak hai
Insan mein woh sukhan hai ghunch mein wohi chatak hai
Ye chand asman ka shavar ka dil hai goya
Waan chandani hai jo kuch yaan dard kasak hai
Andaz e guftugo ne dhoke diye hain warna
Naghma hai bu e bulbul bo phool ki chehak hai
Kasrat mein ho gya hai wahdat ka raaz makhfil
Jugnoo mein jo chamak hai woh phool mein mehak hai
Ye ikhtilaf phir kyo hangamon ka mehal ho
Har shay mein jabke pinhan khamsoshi e azal ho