Na Ishq e Hussain Na Zoq e Shahadat - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Na Ishq e Hussain Na Zoq e Shahadat

Na ishq e Hussain(A.S) na zoq e shahadat

Ghafal samjh baitha hai maatam  ko ibaadat

 Har shay musafir har cheez raahi

Kya chand tare kya murg o maahi

Tu mard e maidan tu mir e lashkar
Noori huzoori tere sipaahi

Kuch qadar apni tu ne na jani
Ye besawadi ye kam nigaahi

Dunya e doon ki kab tak ghulami
Ya raahbi kar ya padshaahi

Peer e haram ko dekha hai mein ne
kirdar be souz guftar whaahi


 Majnu ne sheher chora to sehraa bhi chor day
Nizaray ki hawas ho tu Laila bhi chor

Waaz kamal e tarq say milti hai yaan muraad
Duniya jo chor di hai to Uqbaa bhi chor day

Taqleed ki rawish say tu bhtar hai khud kushi
Rasta bhi dhood hizar ka soda bhi chor day

Manand e khama teri zuban per hai harf e gair
Begana shay pa nazish e be jaa bhi chor day

Lutaf e qalaam kya jo na ho dil mein dard e ishq
Bismil nahi hai tu to tarapna bhi chor day

Shabnam ki tarah phoolon pay ro aur chaman sy chal
Iss baagh mein qayaam ka soda bhi chor day

Acha hai dil pass rhay pasban e aqal
Lakin kabhi kabhi issay tanha bhi chor day

Hai ashiqui mein rasam alag sab say betha
But khana bhi haram bhi kaleesa bhi chor day

Sodagri nahi ye ibadat khuda ki hai
Aya be khabar jaza ki taman bhi chor de

Acha hai dil ke rahe pasban e aqal
Lekin kabhi isse tanha bhi chor de

Jeena wo kya jo nafs e ghair par muddar
Shuhrat i zindagi ka bharosa bh chor de

Shokhi si hai sawal e makarar mein aye kaleem
Shart e raza ye hai ke taqaza bhi choor de

Waiz saboot laye jo may ke jawaz mein
Iqbal ko ye zid hai keh peena bhi chor de

Poet : Allam Iqbal
Book : Bang e Dara



Next

Firdos e jannat mein laakh horoon ka tasawar sahi
Iqbal
Mein ik insan k ishq niklon to wahan tak sochoon


Next

Kia howa jo tere maathe pe hain sajdon ke nishan
Koi aisa sajda bhi kar jo zameen pe nishan chor jaye

Next

Hazaaron aeib dekhtey hain dusron ke pehlu mein Iqbal
Apne kirdaar mein hum log farishtey hon jaisy