Iqbal Teri Qom ka iqbal Kho Gaya
Mazi Toh Sunehra Hai Magar Hal kho Gaya
Iqbal Teri Qom ka iqbal Kho Gaya
Mazi Toh Sunehra Hai Magar Hal kho Gaya,
Mazi Toh Sunehra Hai Magar Hal kho Gaya,
Woh Roh-o-Dabdaba Woh Jalal Kho Gaya
Woh Husn Be-Misal Woh Jamal kho Gaya,
Doobay Hain Jawabon main Par Sawal kho Gaya,
Iqbal Teri Qaum ka Iqbal Kho Gaya,
Urhtay Jo Fizaon main Thay Shaheen na Rahay
Bazauq Na Rahay Zaheen Na Rahay,
Pakeeza Ghar na Rahay Ba Deen na Rahay
Woh Lala-o-Gulzaar Woh Meh Jabeen Na Rahay,
Momin ka Woh Andaaz-e-Bakamal Kho Gaya
Iqbal Teri Qom Ka Iqbal kho Gaya
Zindagi insan ki ik dam ke siwa kuch b nahi
Dam hawa ki moj hai ram ke siwa kuch b nahi
Gul e tabasm keha raha tha zindagani ko magar
Shama booli garya e gham ke siwa kuch b nahi
Raaz e hasti raaz hai jab tak koi mehram na ho
Khul gya jis dam to mehram ke siwa kuch bi nahi
Zayreen e Kaaba se Iqbal ye pocha koi
Kia haram ka tuhfa zamzam k siwa kuch b nahi?
Har shay musafir har cheez raahi
Kya chand tare kya murg o maahi
Tu mard e maidan tu mir e lashkar
Noori huzoori tere sipaahi
Kuch qadar apni tu ne na jani
Ye besawadi ye kam nigaahi
Dunya e doon ki kab tak ghulami
Ya Raahbi kar ya padsaahi
Peer e haram ko dekha hai mein ne
Kirdar be souz guftar waahi
Kya chand tare kya murg o maahi
Tu mard e maidan tu mir e lashkar
Noori huzoori tere sipaahi
Kuch qadar apni tu ne na jani
Ye besawadi ye kam nigaahi
Dunya e doon ki kab tak ghulami
Ya Raahbi kar ya padsaahi
Peer e haram ko dekha hai mein ne
Kirdar be souz guftar waahi
Â
 Ye payam de gaye hai muj bad e subahgahiKe khudi ke arifon ka hai maqam padshahi
Teri zindagi issi se teri abru issi se
Jo rahi khudi to shahi na rahi to roosiyahi
Na diya nishan e manzil mujhe ae hakeem tu ne
Mujhe kya gila ho tujh se tu na reh nasheen na rahi
Mere halqa e sukhan mein abhi zair e tarbiat hain
Woh gada ke jante hain rah o rasm e kajkalahi
Ye maamle hain nazuk jo teri raza ho tu kar
Ke mujhe to khush na aya ye tareeq e khanqahi
Tu hama ka hai shikari abhi ibtada hai teri
Nahi muslihat se khali ye jahan e murg o mahi
Tu arab ho ya ajam ho tera LA ILAHA ILLAH
Lugat e ghareeb jab tera dil na de gawahi
Poet : Allam Muhammad Iqbal