2 Line Urdu Poetry - Qurbat to barri cheez hai ae jaan tamanna - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

2 Line Urdu Poetry - Qurbat to barri cheez hai ae jaan tamanna

2 Line Urdu Poetry

Qurbat to barri cheez hai ae jaan tamanna 
Is dil ki tasalii ko tera naam boht hai
Ab shaam hui jati hai aur shaam bhi gehri
ae subah ke bhoolay howa ghar kyun nahi aata?

Tunay dekhi hai woh peshani, woh rukhsaar, woh hont
Zindagi jin tasawur mein luta di ne
Ae tabeb! ik baar to kardey dua dard dil
Agli baar tauba so bar taub hum mohabbat nahi karen ge
Matlab ke bana kisi ko kon puchta he saakiya
baghair rooh ke to ghar walay bhi nahi rakhty

Apna zamana ap banate hain ehl e dil
Ham wo nahi ke jin ko zamana bana gaya


100 bar tera daman hathon me mere aya
Jab ankh khuli dekha apna hi gireban tha
Ab samajh lete hain mithe bol ki kadwahaten
Ho gya hai zindagi ka tajruba thoda boht

Sikha di bewafai bhi tumhain zalim zamane ne
K tum jo seekh lete ho ham hi par azzmate ho

Ishq hara hai to dil tham k kyun baithe ho
Tum to har bat pe kehte tha koi bat nahi 

Us judai mein tum andar se bikhar jao ga
Kisi mazoor ko dekho ga to yaad aon ga

Rony lagta ho muhabat mein to kehta ha koi
Kia tere ashkon se ye jangal hara ho jay ga


Patton ki tarah mujh ko bikherta tha zamana
Ek shaks ne yakja kia aur aag laga dee


Din kisi terha se kat jay ga sarkon pe shafaq
Sham phir ay gi ham sham se ghabrain ga
Logo kehte hain tum thora bada; gaye ho
Batao tute howa patte rang bhi na badle kya?

Soo bar chaman mehaka so bar bahar ayi
Duniya ki wohi ronaq dil ki wohi tanhayi

Nafraton k teer kha kar doston k sheher main
Hum ne kis kis ko pukara yeh kahani phir sahe

*******************************

Is se badh kar kitna tujhe qareeb lao
Tujh dil mein rakh bhi mera dil nahi lagta

*********************************************

Sandal sa hath mathe par sar kham nazar jhuki hoe
Aadab yun kahoge to hum mar na jayenge
******************************************

Tum zara hath mera tham ke dekho to sahi
Log  jal jaye ga mehfil  mein charagon ki tarah

*****************************************

Har roz ke milne se takaluf kaisa
Chand sao bar bhi naya lagta hai
****************************************

Ho na jaye husan ki shan mein gustakhi kahi e
Tum chale jao tumhe dekh ke payra ata hai