Gulab khawab Dawa Zaher Jaam kya kya Hai - Rahat Indori - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Gulab khawab Dawa Zaher Jaam kya kya Hai - Rahat Indori

Gulab khawab Dawa Zaher Jaam kya kya Hai

Gulab khawab Dawa Zaher Jaam kya kya Hai


Gulab khawab Dawa Zaher Jaam kya kya Hai?
Main aa gaya hon Bata Intezam kya kya Hai

Kisne Dastak di Yeh Dil par koun hai?
Ap toh Andar hain Bahar koun ha


Main laakh keh do k aakash

Main laakh keh do k aakash ho zameen ho main
Magar ussay to khabar hai k kuch nahi ho main,

Ajeeb log hain meri  talaash mei  mujh ko
Wahan pe dhoond rahe hain jahan nahi ho main,

Main ayinon se to maayus laut ho tha
Magar kissi ne batya boht haseen ho main,

woh zaray zaray mein maujood ha magr main bhi
Kahin kahin ho kahan ho kahin nahi ho main

Woh ik kitaab jo mansuub tere naam se hai
Ussi kitaab ke andar kahin kahin ho main,

Sitaaro ao meri rah mein bikhar jao
Yeh mera hukam hai halaan ke kuch nahi ho main

Yahin Hussain bhi guzre yahin yazeed bhi tha
Hazaar rang mein duubi hoe  zameen ho main,

Yeh burhi qabren tumhe kuch nahi batayengi
Mujh talaash karo Dosto yahin ho main............ 


*****************


Jaa ke yeh keh de koi

Jaa ke yeh keh de koi sholon se chingaari se
Phool is baar khile hain bari tayaari se,

Apni har saans ko nilaam kiya hai maine
Log aasaan ho e hain barri dushvaari se,

Zehn mein jab bhi tere khat ki Ibaarat chamkii
Ek khushuu  si nikalne lagi almaari se............,

Shehzaade se mulaqaat to na mummkin hai
Chaliye mil atey hain chal kr kisi darbaari se,

Badshaahon se bhi phenke huye sikke na liya,
Hum ne khairat bhi maangi hai to khudaari se


***************


Haath khaali hain tere sheher se jaate jaate


Haath khaali hain tere sheher se jaate jaate
Jan hoti to meri jaan luttaate jante,

Ab to har haath ka pathar humen pohanchta hai
Umar guzri hai tere sheher  mein aatey jaate,

Ab ke mayuus huo yaaron ko rukhsat kar k
Jaa rahe  they to koi zakham lagate jaate,

Reengne ki bhi ijaazat nahi hum ko warna
Hum jidhar jaate naye phool  khilaate  jaate,

Main to jalta hoye Sehraaon ka ik pathar tha,
Tum to dariyaa they meri payas bujhaate jaate

Mujh ko rone ka saleeqa bhi nahi hai shayed
Log  hanste hain mujh dekh ke aatey jaate

Hum se phle bhi Musaafir kayi guzre ho ge
Kam se kam rah ke pathar to hattate jaate,