Ishq Aur Maut by Iqbal | urdubestpoetry4u - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Ishq Aur Maut by Iqbal | urdubestpoetry4u

Ishq Aur Maut by Iqbal 

Bang-e-Dra 027 Ish-o-Mout(Makhooz Az Tenison) Love and Death 

Suhani Namod-e- Jahaan ki Ghadi thi
Tabassam Fisha zindgi ki kali Thi

Kahi  Mehra  ko Taj-e-zar Mil Raha tha
Ata Chand ko Chandni Horahi thi

Siyahh-e-Pairahan Chand ko Day rahe thi
Sitaroon ko Taleem-e-Tabangi thi

Farishty Sikhate tha shanam ko rona
Hassi gul ko pehle pehla aa rahi thi

Ata dard hota tha shayar kay dil ko
Kkhuddi tashna  kaam-e-maae-e-bekhudi thi

Othi awal awal ghata kali kali
Koi hoor chotii ko khole khadi thi

Zameen ko tha dawa kay me asman hon
Makan keh raha tha kay me lamakaan hon

Garz es qadar ye nazara tha pyara
Kay nazargi ho gai sirapaa-e-nazara

Malak azmatey they pawaaz apni
Jabeeno  se Noor-e- azal askhara

Farishta tha ek ishq tha naam jis ka
Kay thi  rehbari os ka  sab ka sahra

Farishta kiya putla  tha betabiyoo ka
Malak ka malak aur pare ka para

Pay-e-sair-o-firdoos ko jaa raha tha
Qaza se wo mila rah me wo qazara

Ye poch tera  naam  kia kaam kia ha
Nahi ankh kay deed  teri gwara

Howa sun kay goya qaza kisa Farishta
Ajal ho mera kaam ha ashkara

Odati ho me rukht-e-hasti kay purzey
Bhujati ho me zindgi ka sharara

Meri ankh me jadoo-e-nasiti ha
Payam -e- fana ha osi ka ishara

Magr ek hasti ha duniya me aisi
Wo atish ha me samne os  kay paraa

Sharar ban kay rhti ha isnan kay  dil me
Wo ha noor-e-matlab ki ankhon ka taraan

Tapakti ha ankho se ban ban k anssoo
Wo ansoo k goon jin ki talkhi gwara

Sunni ishq ne guftago jab qaza ki
Hansi os k lab per howe Ashkara

Qiri os Tabassum ki bijli ajal per
Andhre ka ho noor me kia guzara

Baqa  ko jo  dhekha qaza hogi wo
Qaza thi shikar-e-qaza hogi wo
(  Dr. Allam Muhammad Iqbal )