Saanson ka safar tumsay tum tak hai
Han mari mohabbat bhi tumsay tum tak hai
Jazba ishq sacha na hota to raasta badal laity
Meray raston ka guzar tumsay tum tak hai
koi us shakhs sa duniya me kahan hota hai
laakh chehron main jisy dil ne chuna hota hai
Ham to us mor pay a e pohonchy hain mohabbat main jhan
Dil kisi kisi aur ko chahy to gunah hota hai
Tere ishq ney bakshi hai ye sogaat musalsal
Tere zikar teri bat musalsal
Main Mohabbat main is maqam pe ho jahn
Mari zaat main rehati hain teri zaat musalsal
Kab tak rah paaoge akhir yun dur hamse
milna parega kabhi na kabhi zarur humse
Narein churane wale yeh berukhi hai kaisi
Keha do agr howa hai koi kasoor humse
Bichar gay to phir milne k as kia rakhen
Murjaye hoye phol khilne k as kia rakhen
Lagye hain jo khud apne hath se anjum
Us zakhmon k khilne ki as kia rahkhen
Bhulkar hamein agr tum rhte ho salamat
To bhul ke tum ko sambhlna humain bh ata hai
Meri fitrat mein yeh adat nahi ha varna
Teri tarah badal jana humein bhi ata hai
Uss ada se bhi hoon mein ashna
Tujhe itna jiss pay gharur hai
Mein jiwaon ga tera bagghar be
Mujay zindgi ka shaor hai
Ujar jaye jo is duniya ki zid mein
Woh dil abad rakhna shayari hai
Mohabbat hai kisi ka yad ana
Kisi ko yaad rakhna shayari ha
*****************************************
Umar jalwon mein basar ho yeh zaruri to nahi
Har shab e gham ki seher ho ya zaruri to nahi
Neend to dard k bistar pe bhi a sakti hai
Unke aagosh mein sar ho yeh zaruri to nahi
********************************************
Meri taqdeer mein jalna hai to jal jaungo
Mein koi tera wada to nahi jo badal jaoga
Mujh ko na samjhao mari zindago ke asool
Mein khud hi thhokar kha k sambhal jaoga
****************************************
Ishq ke koh e qaaf mein hun
Aqal k itikaf mein hun
Phle pehle azeez thi duniya
Aj kal ikhtalaf mein hun