Wo bewafa hai to kia, mat kaho bura usko
ki jo howa so howa, khush rakhe khuda usko
Nazar na aye to uski talaash main rahnaÂ
kahin mile  TO PALAT KAR NAA DEKHNA UKO
WO SAADA KHOON THE ZAMANE KE KHAM SAMAJHTA KYA
HAWA KE SAATH CHALA LE UDI HAWA USKO
WO APNE BAARE MEIN KITNA HA KHUSHGUMA DEKHO
JAB USKO MAIN BHI NA DEKHON TO DEKHNA USKOÂ
Diya sa dil ke kharabe main jal rha hai miyaÂ
Diya ke gird koi aks chal raha hai miyan
Ye ruqs-e-charaghan hai apne halqe mein
Ye jisam saya hai aur saya dhal rha miyan
Ye aakh parda hai ek gardish-e-tahayyur ka
Ye dil nahi hai bagula uchhal rha hai miyan
Kabhi kisi ka guzarna, kabhi thahar jana
Mere sukut mein kya kya khalal rah hai miya
Kabhi kisi ka guzarna kabhi thahar jana
Mere sukoot mein kya kya khala raha hai miyen
Kisi ki rah mein aflaak zer-e-pa hote
Yahan to paanv se sahra nikal raha hai miyan
Hujoom-e-shokh mein ye dil hi be-gharaz niklaÂ
Chalo koi to hareefana chal rha hai miya
Tujhe abhi se hai ki faisla ho jaye
Na jane kab se yahan waqt tal raha hai miyaÂ
Tabeeaton hi ke milne se tha maza baaqiÂ
So wo maza bhi kahan aj kal rha hai miyan
Ghamon ki  fasal mein jis gham ko raegan samjhen
Khushi to ye hai ki wo gham bhi phal raha hai miya
Likha "Naseer" ne har rang mein safed o siyah
Magar jo harf lahu mein machal raha hai miyan
dilpak
GHAZAL
Wo humsafar tha magar us se humnawaai na thi
kidhoop chanw ka alam rha judaai na thi
Na apna ranj na auron ka dukh, na tera malaalÂ
Shab-e-firaq kabhi humne yoon ganwaai na the
Mohabbaton ka safar is tarah bhi guzra tha
Shikasta-dil the musfir shikasta- pai na the
Adawatein thi, tagaful tha, ranjishein thi boht
bichhadne wale mein sab kuch tha, bewafaai na thi
Bichhadte waqat un annkhon main thi humari ghazal
Ghazal bhi wo jo kisi ko abhi sunai na thi
Kise pukar rah tha wo dubta hua din
sada to ayi thi leken koi duhai na thi
Kabhi ye haal ki donon mein yak-dili thi boht
Kabhi ye marhala jaise ki aashnaai na thi
Ajeeb hoti hai raah-e-sukhan bhi dekh Naseer
Wahan bhi a gaya aakhir jahan rasaai na thi
Naseer Turabi