Ye saal bhi aakhir beet gaya - Full Ghazal - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Ye saal bhi aakhir beet gaya - Full Ghazal

Ye saal bhi aakhir beet gaya


Ab yaad dilayen kia tum ko 
Ye saal bhi aakhir beet gaya

Aur apna bhi koi doosh nahi 
Ye bazi bhi jag jeet gaya

Wo sard hawain ab bhi hain
Rangeen fizain ab bhi hain

We bheege bheege pani ki 
Pure shoor sadain abbhi hain

Mein ab bhi udher ko jata hun
Aur dil apna sulgata hun

Ab tum nahi hote sath mere
Aur hote hain khali haath mere

Pur shor sadain poochti hain
Wo sard hawain poochti hain

Wo kahan gaya sathi tera?
kia phir ye zamana jeet gaya?

Ye saal bhi aakhir beet gaya 
Ab yaad dilayen kia tum ko

Ghazal

Koi haar gaya koi jeet gaya
Ye saal bhe akhir beet gaya
kabi sapny sajaye ankho mai kabi beet gae pal baton main

Kuch talkh say lamhat b tha
kuch hadsy aur sadmat b tha
Par ab k baras e dost meray
Main ne RUB se dua ye mangi ha

koi pal na tera udas guzry 
koi rog na tujh raas guzry
Tu pholon ki tarha khila kary
koi shakhs na tujh gila kary

Tu khush rahy abad rahy
Tera khwab nagar abad rahy
Tu jo chahy wo ho jaye
Tu jo mangy wo mil jaye

*****************************************************************************


Ye saal bhi Udas

Ye saal bhi Udas raha rooth kar giya
Tujh se milay baghair December guzar giya

Meri  masalehat jo hoe apnay ap se
Mujh mein jo aik shakhs tha woh mar giya

Jo baat moutbar thi woh sath se guzat giya
Jo harf sarsari tha woh dil mein utar giya

Sheh ragg mein yo rawan than hajoom e sada ka khof
Aksr mein app  apni hi ahat se dr giya

Ab na hijjar ki khalish na khahish wisaal ki
Jese nazar mein aik sa mosan thehar giya

Moshsin yeh rang ye roop ye ronaq bjaa magar
Ab kiya jiyon ga mein  ke mera jee to bhar giy