Aashiqi mein mir jasie khawab mat dekha karo - Ahmad faraz - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Aashiqi mein mir jasie khawab mat dekha karo - Ahmad faraz


Aashiqi mein mir jasie  khawab mat dekha karo

Ahmad faraz was awarded with the sitara-i-imtiaz, hilal e Pakistan and nigar awards.

Full Name : Syed Ahmad Ali
Pen Name : Faraz

Born : 12 January 1931
Place of Birth : Kohat, NWFP, British India 

Died : 25 August 2008
Age : 77

Occupation : Urdu Poet / Lecturer
Nationality : Pakistani
Education : MA in urdu and Persian Languages
Subject : Romance, Political Resistance

Aashiqi mein mir jasie  khawab mat dekha karo
Bawale ho jaogy mahtab dekha karo

Jasta jasta parh liya karna mazamin e wafa
Par kitab e ishq ka har baab mat dekha karo

Is Tamashe mein ulat jati aksar kashtiyan
Dopbne valon zer e ab mat dekha karo

Ma kade mein kia takaluf mai kashi mein kia hijab
Bazam e saqi mein adad adad mat dekha karo

Ham se Durveshon ke ghar ao to yaaron ki tarah
Har jahah khas khana o barfab mat dekha karo

Mange tange ki qabaen dair tak rehti nahi
Yar logon ke laqab alqab dekha karo

Tishnagi mein lub bhigo leno bhe kafi hai Faraz
Jan mein sahba hai ya zahrab mat dekha karo

***************************************************************************


Bujh hai dil to gham 

Bujh hai dil to gham e yaar ab kahan tu abhi
Besaan e naqsh ba deewar ab kahan tu bhi

Baja k chashm e talab bhi hoe tahee- keesa
Magar hai rounq e bazaar ab kahan tu bhi

Hamen bhi kar e jahan le gaya hai dur boht
Raha hai dar pa e aazaar ab kahan tu bhi

Hazar suratein ankhon mein phirti rahti hain
Mari nigaah mein har baar ab kahan tu bhi

usi ko waada faramosh kyu kahein ae dil
Raha hai saahah e kidaar ab kahan tu bhi

Meri Ghazal mein koi aur kaise dar ayye
Sitam to yeh hai k ae yaar ab kahan tu bhi


*******************************************************************************

Wafaa ke baab mein ilzaam


Wafaa ke baab mein ilzaam e Ashiqui na liyaa
Ke teri baat ki aur tera naam bhi na liya

Khusha wo log k mehroom e iltefaat rahay
Tere karam ko ba andaz e saadgi na liya

Tumharay baad kayi haath dil ki simt barhay
Hazaar shukar girebaan ko ham ne se na liya

Tamaan masti o tishnaa libii ki hangamay
Kisi ne sang Uthaaya kisi ne meena liya

Faraz zulm hai itani khud aitmaadi bhi
Ke raat bhi thi andheri charaagh bhi na liya