Dil mein ik lahr si uthi hai abhi | Full Ghazal Nasir Kazmi - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Dil mein ik lahr si uthi hai abhi | Full Ghazal Nasir Kazmi

Dil mein ik lahr si uthi hai abhi


Dil mein ik lahr si uthi hai abhi
Koyi taazaa hava chali hai abhi

Shor barpaa hai khaana e dil men
Koyi divaar se gerii hai abhi

kuch to naazuk mizaaj hain ham bhi
Aur yeh chot bhi nayi hai abhi

Bhari duniya mein je  nahi lagta
Jaane kis chez ki kami hai abhi

Tu shariik esukhan nahi hai to kya
Ham sukhan teri khaamushi hai abhi

Yaad ki be nishaan jaziron se
Teri aavaaz a rahi hai abhi

Shahr ki be charaag galiyon mein
Zindagi tujh ko dhundti  hai abhi

So gaya log us haveli ke
Ek khidaki magar khuli hai abhi

Tum to yaaro abhi se uth baithe
Shahr men raat jaagati hai abhi 

Next Ghazal

Giraftaa dil hain boht aaj  tere deewane
Khuda kare koi tere siva na pahchaane

Miti miti si umddain thake se khayaal
Bujhe bujhe se nigaahon men gham ke afsaane

Hazaar shukr k hum ne zubaan se kuch na kaha
Yeah aur baat k poochha na alh e duniya ne

Ba qadr e tashna labi pursish e wafa  na hue
Chhalak ke rah gaye teri nazar k paimaane

Khayaal a gaya  maayuus rahguzaaron ka
Palat ke aa gaye manzil se tere deewane

kahaan hai tu k tere intezaar men ae dost
Tamaam raat sulagte hain dil k veeraane

Ummeed f Pursish e gham kis se keejiya 'Nasir'
Jo mere dil pe guzarti hai koi kya jaane
 

Next Ghazal
 
Naye mazuum sujhaatii hai sabaa
Kya idhar se vo suman buu niklaa

Paanv chhilne lagi jatli hui ret
Dasht se jab koi ahu nikla

kyi din raat safar mein guzare
Aj to chaand lab e ju niklaa

Taaq e maikhaana mein chaahi thi amaan
Vo bhi tera kam e abruu nikla

Ahl e dil sair e chaman se bhi gaye
Aks e gul saya e gesu niklaa

Vaaqe'aa ye hai ke badnaam hoi
Baat itni thi ke ansu niklaa