Dhanak Dhanak meri poron | Full Ghazal by Parveen Shakir - Ghazal Urdu
Full Ghazal
Poet : Parveen Shakir
Dhanak Dhanak meri poron ki
Dhanak Dhanak meri poron ki khawab kar dega
wo lams mere badan ko gulab kar dega
Qaba e jism ke har taar se guzarta ho
kiran ka pyar mujh aftab kar dega
Junun pasand hia dil aur tujh tak ane mein
Badan ko naav lahu ko chanab kar dega
Main sach kahu gi magar phir b haar jaungi
wo jout bolega aur la jawab kar dega
Ana parast hai itna k bat se pahle
Wo uth ke band mari ha kitab kar dega
Sukut e shahr e sukhan mein wo phol sa lahja
Samaaton ki faza khwab khwab kar dega
Ise tarah se agr chahta raha paiham
Sukhan vari mein mujh intikhab kar dega
Mari tarah se koi hai jo zindagi apni
tumhari yaad ke naam intisab kar dega
NEXT
Gulab haath mein ho aakh mein sitara ho
Koi wajud mohabbat ka istiara ho
main gahre paani ki is rau ke saath bahti raho
Jazira ho ki muqabil koi kinara ho
Kabhi kabhar use dekh len kahin mil len
Ye kab kaha tha ki wo khush badan hamara ho
Qusar ho to hamari hisab mein likh jae
Mohabbaton mein jo ehsan ho tumhara ho
Ye itani raat ga kon dastaken de ga
Kahin hava ka hi us ne ruup dhara ho
Ufuq to kya hai hisse ke sukh jis k naam kar dalun
Koi to ho jo mujh is tarah ka pyara ho
Agr wojud mein ahang hai to wasl bhi hai
Wo chahe Nazm ka takda ki nasr para ho
NEXT
Kia chain mila hai sir jo iske
Shanon pe rakha sisak rahi ho
Pathar pe khili ke chasham gul mein
Kaantey ki tarah khatak rahi ho
Jugnu kahin thak ke gir chuka hai
Jangal mein kahan bhatak rahi ho
Gudiya meri soch ki chhani kia
Bachi ki tarah bilak rahi ho
Rus phir se jarron mein ja rah hai
Mein shak pe kab se pak rahi ho
Takhleeq e jamaal e fun ka lamha
Kalyon ki tarah chatakh rahi ho