Kaash mein tere haseen haath ka kangan hota - Wasi Shah - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Kaash mein tere haseen haath ka kangan hota - Wasi Shah

Kaash mein tere haseen haath ka kangan hota


Kaash mein tere haseen haath ka kangan hota
Tu bade payra se chaao se bade maan ke sath
Ap naazuk si kalaai mei charhati mujh ko
Aur betaabi se furqat ke khizaan k lamho mein

Tu kisi soch mein dubi jo ghumaati mujh ko
Main tere haath ki khuhbu s mahak sa jaata
Tere honto ki main hiddat se dahak sa jaata

Raat ko jab bhi to neendo k safar par jati
Marmarate haath ka ek takia banaaya karti
Mein tere kaan se lag kar kaii baatin karta
Teri zulf o  ko tere gaal ko chuma karta

Jab b to band e qabaa kholne lagti janaan
Apni ankho ko tere husan s khaira karta
Mujh ko betaab rakhta teri chahat ka nasha
Main teri rooh ke gulshan mein mahkta rahta

Mein tere jisam ke aangan mein khanakta rahta
Kuch nahi to yehi benaam se bandhan hota
Kash mein tere haath ka kangan hota


Poet : Wasi Shah


 Jab gham mari dharkan mari baton se ayaan tha tu kahan tha
Jo charon taraf dard ke darya ka samaa than tu kahan tha

Ab aya hai jab dhal gaye hain sabhi mosam maray humdam
Jab tairay liye mara har ehsas jawa tha tu kahan tha

Ab sirf khoshi hai muqaddar ka sitara maray yaara
Jab lab pay faqat tera faqat tera bayan tha tu kahan tha

Ab aya hai jab kaam dikha bhi gaya sawan maray sajan
Jab chaar so mere liya khushion ka sama tha tu kahan tha




Kaisa maftuh sa manzar hai kia sadiyon se
Mere qadmon pe mera sar hai kia sadiyons se

Khauf rahta hai na sailab kahin le jae
Meri palkon pe tera ghar hai kia sadiyon se

Ashk ankhon mein sulagte hue so jate hain
Ye mari ankh jo banjar hai kia sadiyon se

Kaun kahta hai mulaqat mari aj ki hai
Tu meri ruh ke andar hai kia Sadiyon se

Main ne jis liya har shakhs ko naraaz kiya
Ruth jae na yahi dar hai kai sadiyon se

Us ko aadat hai jaden kate rahne ki Wasi
Jo meri zat ka mehwar hai kai sadiyon se