Qadmon mein bhi takan thi ghar bhi qarib tha - Parveen Shakira - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Qadmon mein bhi takan thi ghar bhi qarib tha - Parveen Shakira

Qadmon mein bhi takan thi

Qadmon mein bhi takan thi ghar bhi qarib tha
Par kiya karen ki ab ke safar hi ajib tha

Nikle agr to chand dariche mein ruk bhi jae
Is shahr e be charagh mein kis ka nasib tha

Andhi ne un ruton ko bhi be kar kar diya
Jin ka kabhi huma sa parinda nasib tha

Kuch apne ap se hi use kashmakash na thi
Mujh mein bhi koi shakhs usi ka raqib tha

Puchha kisi ne mol to hairan rah gya
Apni nigah mein koi kitna gharib tha

Maqtal se aane wali hawa ko bhi kab mila
Aisa koi daricha ki jo be salib tha



Parveen Shakira


Ik hunar tha kamal tha kya tha
Mujh mein tera jamal tha kiya tha

Tere jaane pe ab ek kuch na kaha
Dil mein  dar tha malal tha kiya tha

Barq ne mujh ko kar diya rushan
Tera aks e jalal tha kya tha

Ham tak aya tu bahr e latf o karam
Tera waqt e zaval tha kiya tha

Jis ne tah se mujh uchhal diya
Dubne ka khayal tha kiya tha

Jis pe dil saare shd bhul gaya
Bhulne ka saval tha kiya tha

Titliyan tha ham aur qaza k paas
 Surkh phulon ka jaal tha kiya tha


Hawa e taza mein phir jism o jan basane ka
Daricha khalen ki hai waqt us k ane ka

Asar howa nahi us par abhi zamane ka
Ye khawab zad hai kidar kis fasane ka

Kabhi kabhi wo hamen be sabab bhi milta hai
Asar howa nahin us par abhi zamane ka

Abhi mein ek mahaz e digar pe uljhi ho
Chuna hai waqat ye kya mujh ko  azmane ka

Kuch is tarah ka pur asraa hai tira lahja
Ki jaise raz kusha ho kisi khazane ka


NEXT


Mein faqat chalti rahi manzil ko sar us ne kiya
Saath mere raushni ban kar safar us ne kiya

Is tarah khinchi rauzanon ko be nazar us ne kiya
Saare dushman  rauzanon ko be nazar us ne kiya

Mujh mein baste saare sanna ton ki lai us se bani
Patharon ki darmiyan thi naghma gar us ne kiya

Be sar o saman pe dil dari ki chadar daal di
Be dar o diwar thi main mujh ko ghar us ne kiya

Paniyon me ye bhi pani ek din tahlil tha
Qatra e be sarfa ko lekin guhar us ne kiya

Ek ma amuli se achcha e tarashi hai boht
Aur fikr e kham se sarf e nazar us ne kiya

Phir to imkanat phulon  ki tarah khule gai
Ek nanhe se shagufe ko shajar us ne kiya

Taaq mein rakhe diye ko pyaar se rahan kiya
Us diye ko phir charagh e rahguzar us ne kiya