Sochta hoon ke usay neend bhi anti hogi | Wasi Shah - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Sochta hoon ke usay neend bhi anti hogi | Wasi Shah

Sochta hoon ke


Sochta ho ke usay neend bhi anti hogi
Ya meri tarah faqaf ashk bahati hogi

Wo meri shakal mera naam bhulanay wali
Apni tasweer se kia ankh milati hogi?

Is zameen pe bhi hay selab meray ashkon say
Meray matam ki sada arsh helati hogi

Shaam hoty hi wo chokhat pay jala kar shamain
Apni palkon pay kai khowab sulati hogi

Us nay silwa bhi liye hongay siya rang lebaas
Ab moharram ki tarah Eid manati hogi

Hoti hogi meray bosay ki talab main pagal
Jab bhi zulfon mein koi phool sajati hogi

Meray tareek zamano say nikalnay wali
Roshni tujh ko meri yaad dilati hogi

Dil ki masoon ragain khud hi sulagti hogi
Joon hi tasweer ka kona wo jalati hogi

Roop day kar mujhay us main kisi shehzada ka
Apnay bachon ko kahani wo sunati  hogi


Kal hamesha ki tarah us ne kaha yeh phone par
Main boht masroof hon mujh ko boht sey kaam hain

Is liya tum ao milney mein to aa sakti nahi
Har riwaayat torr kar is baar mein ne kaha diya

Tum jo ho masroof to mein bhi bohot masroof ho
Tum agar ghamgeen ho mein bhi boht rajoor ho

Tum thakan sey choor to mein bhi thaken sey choor ho
Jan e man hai waqt mera bhi boht hi qeemti

Kuch puraanay doston ne milney ana ha abhi
Main bhi ab farigh  mujh ko bhi laakhon kaam hain

Warn kehney ko to sab lamhey tumhare naam hain
Mari ankhein bhi boht bojhal hain sona hai mujh

Ratjagon k baad ab needon main khona hai mujh
Main lahoo apni anaaon ka baha sakta nahi

Tum nahi ateen to milney bhi aa sakta nahi
Us ko ye keh ke Wasi main nay reciver rakh diya
Aur phir apni ana k paaoon pay sar rakh diya





Chalu acha kia tum ne
Muhabbat rark kar dali

Muhabbat waisay bhi itna bara rishta nahi hota
Jisay har haall mein rakhna zarori ho

Muhabbat aur majburi mein thura farq hota hai
Khushi hai tum ne iss rishty ko majburi nahi  samjha

Chalu acha kia tum ne raya kari nahi ki hai
Adakari nahi ki hai

Koi parda nahi rakha
Koi dhukha nahi

Muhabbat jhot ka malbos pehnay khobsurat thi
Garebaan chaak honay ka dukh apni jagah leki

Khushi hai jhot ki dunya mein kuch sacha kia tum ne
boht acha kia tum ne ?

Kab talak tuj pe inshisar karin
kyo na ab dosron se payra krain

Tu kabhi waqt par nahi pocha
Kisa tarah tera aitbar krain

****************Next***************
 
Ik bar tu milne ao December ane wala hai
Kesa guzra hai ye sal btao December ane wala hai

Khush ho jao k milne ka saal a raha hai phir
Wasi yun na ansu bahao December ane wala hai

Shayad ab k baras b wo lot kar na aye
Tanhion abi chor kar na jao December ane wala hai

Ye kya k rat din us ki yaad main doobe rehna
Na gham ki barish ma nahao December ane wala hai

Ae mere dukhon ke  sathio khush ho jao
Apne apne ghron ko sjao December ane wala hai

Kia pta phir December aye na aye jan e wasi
Mari mano ab tum lot ayo December ane wala hai
Han December ane wala hai