Guftugu jab muhal ki hogi | Top 4 Ghazal of Jaun Elia - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Guftugu jab muhal ki hogi | Top 4 Ghazal of Jaun Elia

Guftugu jab muhal ki hogi 


Guftugu jab muhal ki hogi
Baat us ki misal ki hogi

Zindagi hai khayal ki ik baat
Jo kisi be khayal ki hogi

Thi jo khushbu saba ki chadar mein
Wo tumhari hi shaal ki hogi

Na samajh payenge wo ahl e firaq
Jo aziyyat visal ki hogi

Dil pe taari hai ik kamal e khushi
Shayad apne zaval ki hogi

Aj kehna hai dil ko haal apna
Aj to sab ke haal ki hogi

Ho chuka main so fikr yaron ko
Ab mari dekh bhal ki hogi

Ab khalish kya firaq ki us ke
Ik khalish mah o sal ki hogi

Khufr o iman kaha gaya jis ko
Baat wo khadd o khal ki hogi

"Jaun" dil ke khutan mein aya hai
Har ghazal ik ghazal ki hogi
next 

Halat e hal ke sabab halat e hal hi gai

Shauq mein kuchh nahi gaya shauq ki zindagi gai

Tera firaq jan e jan aish tha mire liya
Yaani tire  firaq mein khuub sharab pi gai

Tere visal ke liye apna kamal ke liya
Halat e dil ki thi kharab aur kharab ki gai

Us ki umid e naz ka ham se ye maan tha ki ap
Umar guzar giyiya umar guzar di gai

Ek hi hadsa to hai aur wo ye ki aj tak
Baat nahi kahi gai baat nahi suni gai

Baad bhi tere jan e jan dil mein raha ajab saman
Yaad rahi teri yahan phir teri yaad bhi gai

Uski gali se uth ke main aan para tha apne ghar
Ek gali ki baat thi aur gali gali thi

next


Zakhm e Ummid bhar gaya kab ka

Qais to apne ghar gaya kab ka

Ab to munh apna mat dikhao mujhe
Naseho main sudhr gaya kab ka

Aap ab puchhne ko aaye hain
Dil mari jaan mar gaya kab ka

Aap ik aur nend le liije
Qafila kuch kar gaya kab ka

Mera fihrist se nikal do naam
Main to khud s mukar gaya kab ka

next

Dil ki taklif kaam nahi karte

Ab koi shikva ham nahi karte

Jan e jan tujh ko ab tiri khatir
Yaad ham koi dam nahi karte

Dusri haar ki havas hai so ham
Sar e taslim kham nahi karte

Wo bhi padhta nahi hai ab dil se
Ham bhi naale ko nam nahi karte

Jurm mein ham kami karen bhi to kyuun
Tum saza bhi to kam nahi karte

Dil ki taklif kam nahi karte
Ab koi shikva ham nahi karte