Iza Dahi ki Daad Jo Paata Raha Ho Mein | Jaun Elia - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Iza Dahi ki Daad Jo Paata Raha Ho Mein | Jaun Elia

Iza Dahi ki Daad Jo Paata Raha Ho Mein






Iza dahi ki daad jo paata raha ho mein
Har naz afrin ko satata raha ho mein

Ai khush khira paanv ke chhale to gin zara
Tujh ko kahan na phirata raha ho mein

Tujh ko khabar nahi ki tira karb dekh kar
Akasr tira mazaq udata raha ho mein

Jis din se e timad mein aya tira shabab
Us din se tujh pe zulm hi dhata raha ho mein

Bedar kar k tere badan ki khud agahi
Tere badan ki umar ghatat raha ho mein

Ik satr bhi kabhi na likhi mein ne tere naam
Pagal tujhi ko yaad bhi ata raha ho mein

Shayad mujhe kisi se mohabbat nahi hui
Lekin yaqin sab ko dilata raha ho mein

Ik husn e be misal ki tamsil ke liya
Parchhaiyon pe rang girat raha ho mein

Apna misaliya mujhe ab tak na mil saka
Zarron ko aftab banata raha ho mein

Kya mil gaya zamir e hunar bech kar mujhe
Itna ki sirf kaam chalata raha ho mein

Kal dopahar ajib si ik be dili rahi
Bas tiliyan jala ke bujhata raha ho mein





-----------------------------------------------------------------------

Seena dekh raha ho to kya chup rahe koi

Kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi

Sabit hoa sakoon e dil o jaan kahin nahin
Rishton mein dhoondhta hai to dhoonda kare koi

Tark e ta alluqaat koi masla nahin
Yah to woh raasta hai k bas chal parhe koi

Deevaar jaanta tha mein jisa mein woh dhhool thi
Ab mujh koi aitmaad ki daavat na de koi

Main khud yah chaahta hoon ke halaat kharab ho
Mere khilaaf zehr ugalta phire koi

Ai shakhs ab to mujh ko sabhi kuchh qabool hai
Yah bhi qabool hai ke tujhe chheen le koi

Haan theek hai mein apni anaa ka mareez hoon
Aakhir mere mizaaj mein kyun dakhl de koi

Ik shakhs kar raha hai abhi tak wafaa ka zikr
Kaash iss zabaan daraaz ka munh noch le koi

Poet : Jaun Elia