Karun na yaad magar kis tarah bhulo use
Karun na yaad magar kis tarah bhulo use
Ghazal bahana karun aur gungunaun use
Wo khar khar hai shakh e gulab ki manind
Main zakhm zakhm ho phir bhi gale lago use
Ye log tazkire karte hain apne logon ke
Main kaise baat karun ab kahan se lo use
Magr wo zud faramosh zud ranj bhi hai
Ki ruth jae agr yaad kuch dilo use
Wahi jo daulat e dil hai wahi jo rahat e jaan
Tumhari baat pe ai naseho ganwaun use
Jo ham safar sar e manzil bichhad raha hai faraz
Ajab nahi hai agr yaad bhi na aun use
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Ye teri ankhon ki be zari ye lahje ki thakan
Kitne andeshon ki hamil hain ye dil ki dhakanen
Pesh tar is k ki hum phir se mukhalif samat ko
Be Khuda hafiz kahe chal den jhuka kar gardanen
Ao us dukh ko pukaren jis ki shiddat ne hamein
Is qadar ek dusre keg ham se wabasta kiya
Woh jo tanhai ka dukh tha talkh mahrumi ka dukh
Jis ne hum ko dard k rishte main paiwasta kiya
Woh jo is gham se ziyaada jaan gusil qatil raha
Woh jo ek sail e bala angez tha apne liye
Jis k pal pal main tha sadiyon k samundar maujzan
Chikhti yaaden liya ujde howa sapne liya
Mein bhi nakaam e wafa tha to bhi mahrum e murad
Hum ye samjhe tha k dard e mushtarak rasa e gaya
Teri khoe muskurahat qahqahon main dhal ga
Mara gum gashta sukun phir se mara pas ae gya
Tapti do pahron main asuda howa bazu mere
Teri zulfen is tarah bikhrin ghaten ho gay
Tera barfila badan be sakhta lau de utha
Meri sansen sham ki bhigi ho e ho gain
Zindagi ki saaten raushan thi shamon ki tarah
Jis tarah se sham guzre jugnuon ki shahr main
Ao ye sochen bhi qatil hain to behtar hain yahi
Phir se hum apne purane Zahr ko amrit kahe
Tu agr chahe to hum ek dusre ko chhod kar
Apne apne be wafon ki liye rote rahe