Shehar ye dosron ka tha jis main humain saha gaya | Jaun Eila - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Shehar ye dosron ka tha jis main humain saha gaya | Jaun Eila

Shehar ye dosron ka tha jis main humain saha gaya 



Shehar ye dosron ka tha jis main humain saha gaya
Aj ye baat soch ker dil say her ik gila gya

Dil ye ajeeb baat hai teri nahi suni gaye
Thay jo bala k sangdil un ka kaha suna gaya

Haan tri arzoo e naaz hum ko boht aziz thi
Per tere ko e naaz mein hum se nahin reha gaya

Haar singaar hai udaas  aur wo yun k ik perindh
Chor k apna ashiyaan janay kahan chala gaya

Iss ka hisaab hasher tak kaun lagaye ga bhala
Tujh sey gaya tu kia gya mujh sey gaya tu kia gya

Baat ye hai k main jo tha khud sa nahi tha bawafa
Iss liya apnay ap mein mujh nahi reha gaya

Dil ka humari zaat se aur baroon e zaat se
Jaun ajab tha silsils ha e wo silsils gaya 

---------------------------------------------------------------------------------------------

Ek hunar hai jo kar gya hon mein

Sab ke dil se utar gaya ho mein

Kaise apni hansi ko zabat karo
Kya bataaun k mar nahi pata

Jeete ji jab se mar gya hon mein
Ab hai bus apna saamna darpesh

Har kisi se guzar gya hon mein
Wo hi naaz o adaa wo hi gamze

Sar ba sar ap par gaya hon mein
Ajab ilzaam hoon zamaane ka

Ke yahan sab ke sar gaya hoon mein
Kabhi khud tak pahunch nahi paaya

Jab ke waan umar bhar gya ho mein
Tum se jaanan mila hon jis din sa

Be tarah khud se dar gya hon mein
Tum se jaanan mila hon jis din se

Koo e jaanan mein sog barpaa hai
Ke achaanak sudhar gya ho mein 







Dil ne kiya ha qasd e safar ghar samet lo

Jaana hai is dayar se manzar samet lo

Azadgi mein shart bhi hai ehtiyat ki
Parvaz ka hai izn magar samet lo

Hamla hai chaar su dar o divar e shahr ka
Sab jangalon ko shahr ke andar samet lo

Bikhra huwa ho sarsar e sham e firaq se
Ab aa bhi jaao aur mujhe aa kar samet lo

Rakhta nahi  hai koi na gufta ka yaan hisab
Jo kuch hai dil mein us ko labon par samet lo
Â