Gumsum huā āwaaz ka dāriya thā woh ek shākhs | Mohsin Naqvi - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Gumsum huā āwaaz ka dāriya thā woh ek shākhs | Mohsin Naqvi

Gumsum huā āwaaz ka dāriya thā woh ek shākhs


Gumsum huā āwaaz ka dāriya thā woh ek shākhs
Paāthar bhi nāhi ab woh sitara thā jo ek shākhs

Shāyād k koī hārf-e wāfā  dhoondh rāhā  thā
Chehron ko bārre ghāur se pārrhta thā  woh ek shākhs

Ab to os ne bhi āpnā  liya duniyā  kā  qaeenā
Sāye ki rifāqāt se bhi dārtā  thā  jo ik shākhs

Sehraā  ki tārāh dāir se pyāsā  thā  woh shāyād
Bāādāl ki tārāh toot ke bārsā thā woh ek shākhss

Aye tezz hāwāā koi khābār uss ki junoon ki
Tānhā sāfār e shāuq pe nikla thā jo ek shākhss

Ab āākhir sātron mein kāhin nāām hāi uss kā
Ehbāāb ki fehrish mein pehlā thā jo ek shākhss

Hāāthon mein chhupāye huye phirtā hāi kyi zākham
Sheeshe ke khilonon se behltā thā jo ek shākhss

Murr murr ke usey dekhnā chahen meri ānkhein
Kuch duur mujhe chhorrne āyā thā jo ek shākhss

Hār zehan mein kuch naqsh e wāfā chhod gyā hai
Kehne ko bhāre shehār mein tānhā thā jo ek shākhss

Munkir hai wohi ab meri pehchāān ko Mohsin
Aksar mujhe khat khoon se likhtā thā jo ek shākhs

Kābhi to sheher e sitām gārrān mein koi muhābbāt shānās āye
Woh jiski ānkhon sy noor chalky lābon sa chāhāt ki bāās āye

Chāly to khushion k shokh jazby hāmāri ānkhon mein mojzan thay
Māgr nā poochā keh wāpsi k Sāfār sy kitnāy udās āye

Hāmāry hāthon mein ik diyā thā hāwā ny woh bhi bujhā diy thā
Hāin kis qādār bādnāseeb hum bhe humei ujaaly nā rāās āye

Humari janib sy shehr bhar main Yeh manaadi kro Mohsion
Jis talb ho mata e gham ki woh hum faqeeron k pass aye

Mohsin Naqvi

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.