Ankhen bheeg jati hain
Samandar main utarta hoon to ankhen bheeg jati hain
Teri ankhon ko parta hoon to ankhen bheeg jati hain
Tumhara naam likhne ki ijazat chhin gayi jab se
Koi bhi lafz likhta hoon tou ankhen bheeg jaati hain
Teri yaadon ki khushbu khirkiyon main raqs karti hay
Tere gham mein sulagta hoon tou ankhen bheeg jaati hain
Na jane ho gaya hoon iss qadar hassas main kab se
Kisi se baat karta ho tou ankhen bheeg jaati hain
Main saara din bahot masroof rehta hoon magar junhi
Qadam choukhat pe rakhta hoon tou ankhen bheeg jaati hain
Her ek muflis maathe per alum ki daastanen hain
Koi chehra bhi parhta hoon tou ankhen bheeg jaate hain
Tere kooche sa ab mera taalluq wajbi sa hay
Magar jab bhi guzarta hoon tou ankhen bheeg jaati hain
Hazaron Mausamon ki hukmarani ha mere dil per
Wasi main jab bhi hansta hoon tou ankhen bheeg jaati hain
------------------------------------
Iss zameen pr bhi hai sailaab mere ankhon se
Mere maatam ki sadaa arshh hilaati hogi,
Wo keh rahi thi samandar nahi hain Ankhain hain
Mein un mein doob gya aitebaar kartay howay
Sambhal sakte nahi hum ye gham ki jageren
Orar lijiye sir se yee taaj kanton ka