Tumhare khat men naya ik salam kis ka tha | daga dalvi - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Tumhare khat men naya ik salam kis ka tha | daga dalvi

Tumhare khat men naya ik salam kis ka tha



Tumhare khat men naya ik salam kis ka tha
Na  tha Raqib to akhir wo naam kis ka tha

Wo Qatl kar ke mujh har kisi s puchhte hain
Ye kaam kis ne kiya hai ye kaam kis ka tha


Wafa karenga nibahenge baat manenge
Tumhein bhi yaad hai kuchh ye kalam kis ka tha

Na puchh gachh thi kisi ki wohan na av bhagat
Tumhari bazm mein kal ehtimam kis ka tha

Tamam bazm jis sun ke rah gai mushtaq
Kaho wo Tazkira e na tamam kis ka tha

Uthai kyu na qayamat adu ke kuche main
Lihaz ap ko waqt e khiram kis ka tha

Guzar gaya wo zamana kahun to kis se kahun
Khayal dil ko mire subh o shaam kis ka tha

hamen to hazrat e vaiz ki zid ne pilvai
Yahan irada e sharb e mudam kis ka tha

Wo kuan tha ki tumhein jis ne bevafa jaana
Khayal e kham ye sauda e kham kis ka tha

Inhin sifat se hota hai Admi Mashhur
Jo Lutf aam wo karte ye naam kis ka tha

Har ik se kahte hain kya dagh bewafa nikla
Ye puchhe un se koi wo ghulam kis ka tha




No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.