Koi khabar nhi kuch din se kis jahan main ho | Full Ghazal - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Koi khabar nhi kuch din se kis jahan main ho | Full Ghazal

Koi khabar nhi kuch din se kis jahan main ho


 Koi khabar nhi kuch din se kis jahan main ho
Hon khakh daan se bahar k khakh main ho

Kabhi kabhi main tujhe sochta ho fursat ho
Kabhi kabhi mujhe lagta hai tere dhyan main ho

Ye jhoot hai k mujhe ab bhi teri adaat hai
Ye such nhi hai k main abi imtihan main ho

Main janta hon k tu ab bhi mujhe sochta hai
Main janta ho main ab bhi tere gumaan main ho

Wo tere hijar k kuch pehle din Khuda ki panah
Yun mujh ko lagta tha jaltay howa makaan main ho

Jahan tu chahe chala de ab aisi baat nhi
Nhi main teer na teri kisi kaaman main ho

Ada na kr saka ausaf umer jis ko
Main aisa lafz aur apni he zaban main ho

Koi khabar nhi kuch din se kis jahan main ho
Hon khakh daan se bahar k khakh daan main ho

 Hai ajeeb shahr ki zindagi na safar raha na qayaam hai

Kahin karobar si dophar kahin badmizaj si shaam hai

Kahan ab Duaon ki barkatein wo naseehatein wo hidayatein
Ye zaroraton ka khuloos hai ye mataalbon ka salaam hai

Yun hi roz milne ki aarzo badi rakh rakhao ki guftgu
Ye sharaafatein nahi be gharaz use apse koi kaam hai

Wo dilom mein aag lagayega mein dilom ki aag bujhaunga
Use apne kaam se kaam hai mujhe apne kaam se kaam hai

Na udaas ho na malaal kar kisi baat ka na khayal kar
Kai saal baad mile hain ham tire naam aaj ki shaam hai

Koi naghma  key gaon sa koi naghma  shaamki chhaon sa
Zara in parindon se poochhna ye kalaam kis ka kalaam hai