Meri zindagi to firaaq hai wo azal se dil main makeen sahi | Full Ghazal - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Meri zindagi to firaaq hai wo azal se dil main makeen sahi | Full Ghazal

Meri zindagi to firaaq hai


Meri zindagi to firaaq hai wo azal se dil main makeen sahi
Wo nigaah e shauq se door hain rag e jaan se laakh qareen sahi

Hamain jaan deni hai aik din wo kisi tarah wo kaheen sahi
Hamain ap khainchiye daar par jo nahi koi to hameen sahi

Sar-E- Toor ho sar-e-hashr ho hamain intezaar qabool hai
Wo kabhi milen wo kahin milen wo kahbhi sahi  wo kaheen sahi

Na ho un pe kuchh mera bass nahi ke ye ashqi hai hawas nahin
Main unhi tha main unhi ka hun wo mere nahi to na hi sahi

Mujhe bhaithne ki jagah milay meri azroo ka bharam rahay
Teri anjuman mein agr nahi teri anjuman ke qareen sahi

Tera dar to hum ko na mil saka teri rahguzar ki zameen sahi
Hamain sajda karne se kaam hai jo wahan nahi to yaheen sahi

Meri zindagi ka naseeb hai nahi door mujhe se qareeb hai
Mujh uska gham to naseeb hai wo agr nahi to naheen sahi

Jo ho faislaa woh sunaaiye use hashr par na uthaaiye
Jo karainge ap sitam wahan wo abhi sahi wo yakeen sahi

Unhen dekhne ki jo lou lagi to Naseer dekh hi lainge hum
Wo hazaar ankh se door hon wo hazaar pardah nasheen sahi

 
Koi agr rootha bhi tha os ko mana kr dekhta

Apni anaon pr kabhi wo pehre laga ke dekhta

Wo bhi hota aashna phir har kisi k dard se
Wo kisi ka dard jo dil main jaga kr dekha

Hans rha hai wo kisi k ghar ko jalta dekh kr
Apna ghar jalta phir wo muskura ke dekhta

Sath wo deta jo apni zindagi bhar k liye
Main bhi koi asmaan ghar bna ke dekhta

Chand bhi sharma k chupta badalon ki oat main
Wo haseen rukh se agr zulfein hata kr dekhta

Wo kabhi deta mujhe fursat k kuch lamhe
Samne apne ose  ghaton bitha kr dekhta

Koi agr rootha bhi tha os ko mana kr dekhta
Apni aanaon pr kabhi wo pehre laga kr dakhta