Tujhy ishq ho khuda kry tujhy koi us sy juda kry Full Ghazal - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Tujhy ishq ho khuda kry tujhy koi us sy juda kry Full Ghazal

Tujhy ishq ho khuda kry tujhy koi us sy juda kry


Tujhy ishq ho khuda kry tujhy koi us sy juda kry


Tujhy ishq ho khuda kry tujhy koi us sy juda kry
Tery hont hansna bhool jay teri aankh purnam rha kry

Tu uski baatain kiya kry tu uski baatain suna kry
Usy daikh k tu ruk pary wo nazar jhuka kr chala kry

Tujhy hijar ki aisi jari lagy tu milan ki har pal dau kry
Tery khawab bikhren toot kr tu kirchi chuna kry

Tu nagr nagr phira kry tu gali gali sada kry
Main kahun k ishq dhong hai tu nahi kiya kry

Yah dua haye atish ishq main kah mairi trah tu jala kery
Na naseeb ho tujhy baithana taire dil ma dard utha kery

Litein ho khuli aor chasham tar kahein nala lab pa ho sozgar
Kah mairi talash ma dar badar tu pakar k din ko phira kery

Tery saamny tera ghar jaly tu bujha saky na bas chaly
Tery dil sy nikly yahi dua na ghar kisi ka jala kary

Tujhy ishq pa phir yaqeen ho isy tasbeeion py parha kary
Laot aein khair se phir who din kahin na aye chain tujhe maire bin

Na lagaein tujh ko galy se ham tu hazar mintein kia kery
Tu hazar mintein kia kery tujhy ishq ho Khuda kery 


Irada roz karta hoon, magar kuch kar nahi sakta

Main paishawar farabi hoo, mohabbat kar nahi sakta

Buray hon ya k achay hoon mujhay is say nahi matlab
Mujhay matlab say matlab hay main tum say larr nahi sakta

Yahan har dosra insaan kuda kud ko kehta hay
Khuda b wo k jo apni he jholi bhar nahi sakta

Main tum say saaf kehta hoon mujhay tum sa nahi Ulfat
Faqat lafzi mohabbat hay main tum pay mar nahi sakta

Mohabbat ki musafat nay bht zakhmi kiya mujh ko
Abhi yeh zakhm bharnay hain main ahen bhar nahi sakta

Bhalay main nay nahi chaha, magar tum nay to chaha hay
Tumhari yaad ko dil say to bahir kar nahi sakta

Najanay admi kyo admi say khof khata hay
Jo apnay Rab  say darta ho kisi say dar nahi sakta

Aray oh Ishq, chal ja kam kar kis ko bulata hay
Husn bazar main bikta hay sooli charh nahi sakta

Yahan har aik chehray par alag tehreer likhi hay
Meri ankhon main ansoo hain Abhi kuch parh nahi sakta

Main apni raat ki zulfon main khud chandi sajata hoon
Main uski maang main wahdon k heeray jarr nahi sakta

Bhalay jhoota munafiq hoon bht dhokay diay laykin
Muhabbat ki sada hon main main dhoka kar nahi sakta

Main us ghar ka muqeemi hoon jisay oqat kehtay hain
Kuch sher rehty hain magar likhnay nahi har giz

Kisi ki laaj rakhni hay so zahir kar nahi saktaÂ