Best Ghazal
Muj apne zabt pe naaz tha, sar E bazm raat ye kya hua
Muj apne zabt pe naaz tha, sar E bazm raat ye kya hua
Meri annkh kaise chalak gayi, mujhe ranj hai ye bura hua
Meri Zindagi ke charagh ka ye mizaaj koi naya naya nahi
Abhi Roshni abhi abhi teergi, na jala hua na bujha
Mujhe jo bhi dushman E jaan mila, wohi pukhta kaar E jafa mila
Na kisi ki zarb galat pari, na kisi ka teer khata hua
Mujhe ap kiun samajh na sake kabhi apne dil se bhi pochiye
Meri Daastan E Hayaat ka to warq warq hai khila hua
Jo nazar bacha k guzar gaye mere saamne se abhi abhi
Ye mere hi shehr k log thay mere ghar se ghar hai mila hua
Hamain is ka koi bhi haq nahi k shareeq E bazm E khuloos hon
Na hamare paas naqaab hai na kuch Aasteen main chupa hua
Mere ek Gosha E fikr mai meri zindagi se azeez tar
Mera ek aisa bhi dost hai jo kabhi mila na juda hua
Mujhe ik gali mai para hua kisi badnaseeb ka khat mila
Kahin khoon E dil se likha hua kahin Aansuon se mita hua
Mujhe hamsafar bhi mila koi to shikasta haal meri tarha
Kayi manzilon ka thaka hua kahin raaste main luta hua
Hamai apne ghar se chalay hua sar E raah umr guzar gai
Koi justuju ka sila mila na safar ka haq hi ada hua
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.