Hai Dua Yaad Magar Harf E Dua
Hai Dua Yaad Magar Harf-e-dua Yaad nahin
Mere Naghmaat ko andaaz-e-nawa Yaad nahin
Maine palakon se dar-e-yaar pe dastak di hai
Main woh saail hun jise koi sadaa Yaad nahin
Maine jin ke liya raahon mein bichhaaya tha lahoo
Hum se kehte hain wahi ahad-e-wafa Yaad nahin
Kaise bhar aayi sar-e-shaam kisi ki ankhen
Kaise tharraai charaaghon ki ziya Yaad nahin
Sirf dhundhlaaye sitaaron ki chamak dekhi hai
Kab hua kaun hua kis se khafa Yaad nahin
Zindagi jabr-e-musalsal ki tarah kaati hai
Jaane ki jurm ki paayi hai saza Yaad nahin
Aao ek sajda karen Aalam-e-madhoshi mein
Log kehte hain k Saghar ko Khuda Yaad nahin