Jaun Elia Poetry - Hijar ki Aankhon se Aankein to milatay jaaiye - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Jaun Elia Poetry - Hijar ki Aankhon se Aankein to milatay jaaiye

Jaun Elia Poetry



Hijar ki Aankhon se Aankein to milatay jaaiye
Hijar main karna hai kya yeh to bata'tay jaaiye 

Ban kay khushbu ki udasi rahiye dil kay baagh main
Door hotay jaaiye, Nazdeek aatay jaaiyee

Jatay jatay ap itna kaam to keejiye mera
Yaad ka sara sar-o-samaan jalatay jaaiye

Reh gayi umeed to bar' baad ho jaon ga main
Jaaiye to phir mujhay sach much bhulatay jaaiye

Zindagi ki anjuman ka bas yahi dastoor hai
Barh kat mil'iye aur mil kar door ho jaaiye

Aakhri rishta to hum main ik khushi ik gham ka tha
Muskaratay jaaiye Aansu bahatay Jaaiye

Woh gali hai ik sharabi chasham-e-kaafir ki gali
Us gali main jaaiye to larr' kharatay jaaiye

Ap ko jab mujh se shikwa hi nahin koi to phir
Aag hi dil main lagani hai lagatay jaaiye

Kooch hai khawabon se tabeeron ki simaton main to phir
Jaaiye par Dam-ba-dam bar'baad jaatay jaaiye

Ap ka mehmaan hoon main ap meray mezbaan
So mujhay zehar-e-murawat to pilatay jaaiye

Hai sar-e-shab aur meray ghar main nahin koi chragh
Aag to is ghar main jaana na lagatay jaaiye

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.