Aks e khushbo ho bikharna se
 Aks e khushbo ho bikharna se na roke koi
Aur bikhar jaaun to mujhe na samete koi
Kaanp uthta hoon ma is tanhai mein
Mere chehre pe tera nam na padh le koi
Jis tarah khawaab mere ho gaye reza reza
Is tarah se na kabhi toot ke bikhre koi
Ma to us din se harasan ho ke jab hukm mie
Khushk phoolon ko kitabon mein na rakhe koi
Ab to is rah se wo shakhs gazarta bhi nahi
Ab kis ummeed se darwaaze se jaahnke koi
Koi awaaz koi ahaat koi chaap nahin
Dil ki galyaan badi sunsaan hain aye koi
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.