Mil hi jaege kabhi dil
Mil hi jaege kabhi dil ko yaqin rahta hai
Wo esi shahr ki galiyon mein kahin rahta hai
Jis ki sanson se mahakte thi dar o baam tere
Ai makan bol kahan ab wo makin rahta hai
Ek zamana tha ki sab ek jagah rahte the
Aur ab koi kahin koi kahin rahta hai
Roz milne pe bhi lagta tha ki jug bit gae
Ishq mein waqt ka ehsas nahi rahta hai
Dil fasurda to howa dekh ke us ko lekin
Umar bhar kon jawan kaun hasin rahta hai
----------
Geet likhe bhi to aisa
Geet likhe bhi to aisa k sunaye na gaye
Zakhm yum lafzon main utray k dikhaye na gaye
Tere kuch khuwab janzay mari ankhon mein
Tere janazay jo ghr se kabhi uthaye na gaye
Shehar main fatah ki ronaq thi kisi dushman par
Hum se lekin dar o deewar sajaye na gaye
Kia bs itni he muhabbat thi k bole na chaly
Kia bs itni taluq tha k aye na gaye
Ajj tak takhe hain pachtway ki almari main
Aik do waday jo dono se nibhaye na gaye
Poetry by Farhat Abbas Shah
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.