Chalne ka Hausla Nahin
Chalna ka hosla nahin, rukna muhaal kar diya
Ishq k is safar ne to mujh ko nihaal kar diya
Ae mari gul zamen tujhe chah thi ik kitab ki
Ehl-e-kitab ne magar kya tera haal kar diyaa
Milte huwe dilon k beech aur tha faisla koi
Us ne magar bicharte waqat aur sawal kar diya
Ab ke hawa k sath hay daman-e-yar muntzir
Banu e shab k hath ma rakhna smbhal kar diya
Mumkina faislo ma ik hijr ka faisla bhi tha
Hum ne to aik baat ki us ne kamal kar diya
Mere labo pe mohar thi par mere shesha roh ne to
Shehar k shehar ko mera waqif-e-haal kar diya
Chehra-o-nam aik sath aj yad aa sake
Waqt ne kis shabeh ko khawab-o-khayal kar diya
Muddaton baad us ne aj mujh se koi gila kiya
Mansab-e-dilbari pe kya mujh ko bahaal kar diya
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.