Hamesha Dair Kar Daita Hoon Main | Muneer Niazi - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Hamesha Dair Kar Daita Hoon Main | Muneer Niazi

Hamesha Dair Kar Daita Hoon Main

Hamesha Dair Kar Daita Hoon Main

Hamesha dair kar deta hoon main
Zaruri baat kahni ho, Koi wada nibhana ho
Use avaz deni ho, Use wapas bulana ho
Hamesha dair kar deta hoon main

Madad karni ho us ki, Yaar ki dharas bandhana ho
Boht derina raston par, Kisi se milne jaana ho
Hamesha dair kar deta hoon main

Badalte mosamon ki sair mein, Dil ko lagana ho
Kisi ko yaad rakhna ho, Kisi ko bhuul jaana ho
Hamesha dair kar deta hoon main

Kisi ko maut se pahle, Kisi gham se bachana ho
Haqiat aur thi kuchh, Usko ja ke ye batana ho
Hamesha dair kar deta hoon main

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.