Ghalat niklay sab andazay hamara
Ghalat niklay sab andazay hamarayÂ
keh din aay nahi achay hamaray
Safar se baaz rehnay ko kaha hai
Kisi ne khol kar tasmay hamaray
Har ik mosam boht andar tak aya
Khule rehtay thay darwazay hamare
Agr ham par yakeen ata nahi tu
Kaheen lagwa lo angothay hamray
Basharat di hai azadi ki us ne
Hawa me phenk kar pinjray hamaray
Us abr e mehrban se kia shikayat
Agar bartan nahi bhartay hamaray
Maheenay baad beti se mila hon
Hamen le de gay jhagray hamaray
Â
Poet : Tehzeeb Hafi
Â
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.