Sitaron sa Aage jahaan aur bhi hain
Sitaron sa Aage jahaan aur bhi hainÂ
Abhi ishq ki imtihan aur bhi hain
Tihi zindagi ki nahi yeh fazaayein
Yahan sainkadonn kaaravaan aur bhi hain
Qanaa'at nah kar alam-e-rang o bu par
Chaman aur bhi, Ashiyaan aur bhi hainÂ
Agar kho gaya ek nasheman tho kya gham
Muqaamat-e-ah-o-fughaan aur bhi hainÂ
Tu shaaheen hai parvaaz hai kaam tera
Tere saamne Asamaan aur bhi hainÂ
Isi roz-o-shab mein ulajh kar nah rah jaa
Kih tere zamaan-o-makaan aur bhi hain
Gaye din ke tanahaa tha mein Anjuman meinÂ
Yahaann ab mere raaz-daan aur bhi hain
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.