Main jab bhi tark e taluq ki baat karta tha
Main jab bhi tark e taluq ki baat karta tha
Woh rokti thi mujhay kal pay taal rakhti thi
Woh mairay dard ko chunti thi apni poron say
Woh mairay wastay khud ko nidhal rakhti thi
Woh dobnay nahi daiti thi dukh kay darya ma
Mariay wajood ki naow uchaal rakhti thi
Duain us ki balaon ko rook laiti thi
Woh mere char so hatho ki dhaal rakhti thi
Ik aisi dhun kay nahi phir kabhi ma nay suni
Woh munfarid sa hansi main kamal rakhti thi
Usay nadamatain mairi kahan gawara thin
Woh mairay wastay asaan sawal rakhti thi
Mohsin NaqviÂ
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.