Eid ka din hai gale
Eid ka din hai gale hum ko laga kar miliye
Rasm-E-duniya bhi hai moka bhi ha dastoor bhi hai
Hum to sarkaar ke ghar aye hain milne k liye
Dil kali ki tarah be-taab hai khilne k liye
Chaliye itna hi sahi rasme-e-duniya hi sahi
Ik halki si hansi lab pe saja kar milye
Rasm-e-duniya bhi hai moka bhi hai dastoor bhi hai
Eid milne k liye saamne aana ho ga
Sharam k saare asoolon ko bhulana ho ga
Pyaar ka rakhiya bharam dil pe kije na sitam
Qam se kam aaj k din ankh mila kar milye
Rasam-e-duniya bhi hai moka hai dastoor bhi hai
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.