Gale lagaen karen payr tum ko Eid k Din | Akbar Allahabadi - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Gale lagaen karen payr tum ko Eid k Din | Akbar Allahabadi

 Eid k Din 

Eid k Din
Gale lagaen karen payr tum ko Eid k Din
Idhar to aao mere gul-ezar Eid k Din

Ghazab ka husan hai aaraishen qayamat ki
Ayan hai qudrat-e-parwardigar Eid ke Din

Sambhal saki na tabiat kisi tarah mari
Raha na dil pe mujhe i khtiyat Eid k Din

Wo saal bhar se kudurat bhari jo thi dil main
Wo dur ho gai bas ek bar Eid k Din

Laga liya unhen sine se josh-e-ulfat mein
Gharaz ki aa hi gaya mujh ko pyar Eid k Din

Kahin hai naghma-e-bulbul kahin hai khanda-e-gul
Ayan hai josh-e-shabab-e-bahaar Eid k Din

Siwayyan dudh shakar mewa sab muhayya hai
Magar ye sab hai mujhe nagawar Eid k Din

Mile agar lab-e-shirin ka tere ek bosa
To lutf ho mujhe albatta yar Eid k Din

Poet : Akbar Allahabadi




No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.