Kamal e zabt ko khud bhi to azmaon gi
Kamal e zabt ko khud bhi to azmaon gi
Mein apne haath se us ki dulhan sajaon gi
Sapurd kar ke usay chandni k hathon main
Main apnay ghr k andheron ko lout aaon gi
Badan ke kharb ko woh bhi samjh na paye ga
Main dil main roan gi ankhon main muskraon gi
Wo kya gya ko rafaqt k saray lutf gaye
Main kis se rooth sakun gi kisay manaon gi
Ab us fun kisi aor se howa mansoob
Main kis ki nazam akele main gungunaon gi
Woh ik rishta e be naam bhi nahi laiken
Mein ab bhi us k ishaaron pe sar jhukaon gi
Bicha diya tha gulabon ke sath apna wajood
Wo so k uthay to khawabon ki raakh uthaon gi
Samaaton main ghanay junglon kis saansein hain
Mein ab kabhi teri awaza sun na paon gi
Jawaz dhoondh raha tha nai mohabbat ka
Woh keh raha tha k main us ko bhool joan gi
Poet : Parveen Shakir
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.