Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liya aa | Ahmad Faraz | Sad Poetry - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liya aa | Ahmad Faraz | Sad Poetry

 Ranjish hi sahi

Ranjish hi sahi

Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liya aa
Aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa

Kuchh to mere pindar-e-mohabbat ka bharam rakh
Tu bhi to kabhi mujh ko manane ke liya aa

Pahla se marasim na sahi phir bhi kahbi to
Rasam o rah e duniya hi nibhane ke liya aa

Kis kis ko batae ga judai ka sabab hum
Tu mujh se khafa hai to zamane ke liya aa

Ek umar se hun lazzat-e-girya se bhi mahrum
Ai rahat e jaan mujh ko rulane ke liya aa

Ab tak dil e khush fahm ko tujh se hain ummiden
Ye akhiri shamen bhi bujhane ke liya aa

Ahmad Faraz

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.