Dost ban kar nahi sath nibhane wala
Dost ban kar nahi sath nibhane wala
Wohi andaz hai zalim ka zamane wala
Ab usay log samjhte hain giraftar mera
Sakht naadim ha mujhe daam main lane wala
Subah dam chorr geya nikhat e gull ki surat
Raat ko guncha e dil may simaat ane wala
Kya kahen kitne marasim they hamare us se
Wo jo ik shakhs hai much phair kay jane wala
Tere hote huye aa jati thi sari dunia
Aj tanha ho to koi nahi ane wala
Muntazir kiss ka hoon tooti hoi dehleez pe main
Kon aye ga yahan kon hai aane wala
Kya khabar thi jo meri jaan may ghulla ha itna
Ha wohi mujhe ko sar e daar bhi lane wala
Main ne dekha ha baharon main chaman ko jalte
Hai koi khawab ki tabeer batane wala
Tum takaluf ko bhi ikhlaas samjhte ho Faraz
Dost hota nahi har milan wala
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.