Gham-e-Aashiqi tera shukriya
Kabhu ruk gaye kabhi chal diya kabhi chalte chalte bhatak gaye
Yunhi umar saari guzar di yunhi zindagi ka sitam sahy
Kabhi neend main kabhi hosh main tu jahan mila tujhay dekh kar
Na nazar mili na zuban hili yunhi sir jhukka guzar gaye
Kabhi zulf par kabhi chasham par kabhi tere haseen wajood par
Jo pasand thy meri zaat main wo shair saary bikhar gaye
Mujhay yaad hai kabhi ek thy hum magar aj hum hain juda juda
Wo juda howay tu sanwar gaye hum juda howa tu bikhr gaye
Kabhi arsh per kabhi farsh per kabhi un k k dar kabhi dar badar
Gham-e-Aashiqi tera shukriya hum kahan sa guzar gaye
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.