Kathin hai rah guzar thori door saath chalo
Kathin hai rah guzar thori door saath chalo
Boht bara hai safar thori door saath chalo
Tamam umar kahan koi saath deta hai
Main janta hoon magar thori door saath chalo
Nashe main chur hon main bhi tumhein bhi hosh nahi
Bara mazaa ho agr thori door saath chalo
Ye ek shab ki mulaqat bhi ganimat hai
Kise hai kal ki khabar thori door saath chalo
Abhi to jaag rahe hain chirag rahon ke
Abhi hai door sahar thori door saath chalo
Tawaaf e manzil e jana hamein bhi karna hai
Faraz tum bhi agar thori door saath chalo
Ahmed Faraz
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.