Qurbat bhi nahi dil se utar bhi nahi jata
Qurbat bhi nahi dil se utar bhi nahi jata
Woh shakhss koi faisla kar bhi nahi jata
Ankhen hain k khaali nahi rehti hain lahuu se
Aur zakham e judai hai k bhar bhi nhi jata
Woh rahta e jaan hain magar is darbadri main
Aesa hai k ab dheyaan udhaar bhi nahi jata
Hum dohri aziyat k giraftaar musaafir
Paaon bhi hain shall shauq e safar bhi nahi jata
Pagal huye jaate ho Faraz us se mile kya
Itni si khushi se koi mar bhi nahi jata
Ahmed Faraz