Rasta bhi kathin
Rasta bhi kathin dhoop mein shiddat bhi boht the
Saaye say magar us ko mahabbat bhi boht thi
Khaimay na koi meray mussfir kay jalaaye
Zakhmi tha bahot paaon musaafat bhi boht thi
Sab dost meray muntazir e parda e shab thay
Din mein tou safar karny mein diqqat bhi boht thi
Barish ki duaaon mein nami ankh ki mil jaye
Jazbay ki kahi itni rafaaqat bhi boht thi
Kuch tu teray mausam hi mujhay raas kam aye
Or kuch meri mitti mein baghaawat bhi boht thi
Phoolon ka bikharna tu muqaddar hi tha lekin
Kuch mein hawaaon ki siyaasat bhi boht thi
Wo bhi sar e maqtal hai kay sarr jis ka tha shahid
Or waaqif e ahwal adaalat bhi boht thi
Is tark e rafaaqat pe pareshaan tu ho lekin
Ab tak k teray saath pe hairat bhi boht thi
Khush aye tujhe shehr e munaafiq ki ameeri
Ham logon ko sach kehnay ki adat bhi boht thi
Parveen Shakir
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.