Tarah kar mera bazu
Tarah kar mera bazu uraan chor gya
Hawa k pass wo barhana makan chor gya
Rifaqton ka meri usko dhayan kitna tha
Zameen le li magr asman chor gya
Ajeeb shakhs tha barish ka rang daikh k bhi
Khulay dareechay pe ik phool daan chor gya
Jo badalon se bhi mujh ko chupa rakhta tha
Barhi hai dhoop to be saaibaan chor gya
Nikal gaya kahin an dekhe paniyon ki taraf
Zaman k naam khula badban chor gya
Oqab ko thi gharaz fakhta pakarne sa
Jo gir gai to yunhi neem jaan chor gya
Na jaane kon sa asaib dil main basta hai
K jo bhi thehra wo akhir makan chor gya
Aqab mein gahra samundar hai samne jangal
Kis intiha pe mara mehrban chor gya
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.