Apni rusvai tire naam ka charcha dekhun
Apni rusvai tire naam ka charcha dekhun
Ik Zara sher kahun main kya kya dekhun
Nend aa jaae to kya mahfilen barpa dekhun
Ankh khul jaae to tanhai ka sahra dekhun
Shaam bhi ho gai dhundla gaiin ankhen bhi miri
Bhulne waale main kab tak tire rasta dekhun
Ek ik kar ke mujhe chhod gain sab sakhiyan
Aj main khud ko tiri yaad mein tanha dekhun
Kaash sandal se miri maang ujale aa kar
Itne ghairon mein wahi haath jo apna dekhun
Tu mire kuch nahi lagta hai magar jan e hayat
Jaane kyu tere liye dil ko dhdakna dekhun
Band kar k meri ankhen wo shararat se hanse
Bujhe jaane ka main har roz tamasha dekhhun
Sab ziden us ki main puri karo har baat sunun
Ek bachche ki tarah se use hansta dekhun
Phuul ki tarah meri jism ka har lab khul jaae
Pankhudi pankhudi un honton ka saaya dekhun
Main ne jis lamhe ko puuja hai use bas ik baar
Khawab ban kar teri ankhon mein utarta dekhun
Tu meri tarah se yakta hai magaar mere habib
Ji mein aata hai koi aur tujh sa dekhun
Tuut jaen ki pighal jaen meri kachche ghade
Tujh ko main dekhun ki ye aag ka dariya dekhun
POET : PARVEEN SHAKIR
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.