Chand jalta raha
Meri ankho mein anso pighalta chaand jalta raha
Teri yaado ka sooraj nikalta raha chaand jalta raha
Koi bister peh shabnam lapaite huye khwaab dekhta raha
Koi yaado mein karwat badalta raha chaand jalta raha
Meri aankho mein sab saatein jaagti hain abhi
Neher peh tu main saath chalta raha chand jalta raha
Main tou yeh jaanta hou jis shab tum mujha chhor kar gaye
Asaman se choula nikalta raha chand jalta raha
Raat ayi to kiya tamashe huye tumhe maloom hai
Teri yaado ka sooraj ubalta raha chaand jalta raha
Raat bhar meri palko ki dehleez par khwaab girtay rahe
Dil tarrapta raha haath malta raha chaand jalta raha
Yeh December keh jis mein karri dhoop bhi mithi lagne lage
Tum nahi to december sulagta raha chaand jalta raha
Aj bhi woh taqadas bhari raat mehki huyi hai WASI
Main kisi ko mujh mein dhalta raha chaand jalta raha
Wasi Shah
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.