Dukh Fasana Nahi K Tujhse Kahen
Dukh Fasana nahi k tujhse kahen
Dil bhi mana nahi k tujhse kahen
Aj takk apni bekali ka sabab
Khud bhi jana nahi k tujhse kahen
Be tarah haal-e-dil hai aur tujhse
Dostana nahi k tujhse kahen
Ek tu harf aashna tha magar
Ab zamana nahi k tuhse kahen
Qasid hum faqeer logon ka
Ik thikana nahi k tujhse kahen
Ae khuda dard-e-dil hai bakshish e dost
Ab o dana nahi k tujhse kahen
Ab to apna bhi us galo mein Faraz
Ana jana nahi k tujhse kahen
Poet : Ahmed Faraz