Haath khali hain tire shahr se jaate jaate | Rahat Indori - Ghazal Urdu

Ghazal Urdu, best urdu poetry, Urdu poetry , Ghazal , Shayari , Sad Poetry And Funny Jokes, urdu best poetry 4u

Haath khali hain tire shahr se jaate jaate | Rahat Indori

 Haath khali hain tire shahr se jaate jaate


Haath khali hain tire shahr se jaate jaate
Jaan hoti to miri jaan lutate jaate

Ab to har haath ka pathar hamain pahchanta hai
Umar guzr hai tire shahr main aate jaate

Ab k mayus hua yaron ko rukhsat kar k
Ja rahe tha to koi zakhm lagate jaate

Rengne ki bhi ijazat nahi ham ko varna
Ham jidhar jaate nae phul khilate jaate

Main to jalte howa sahraon ka ik pathar tha
Tum to dariya tha miri pyass bujhate jaate

Mujh ko rone  ka saliqa bhi nahi hai shayad
Log hanste hain mujhe dekh k aate jaate

Ham se pahla bhi musafir kai guzare honge
Kam se kam raah ke pathar to hatate jaate

Rahat Indori

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.